zard patton pe mera nam likha hai us ne sabz khwabon ka ye anjam likha hai us ne koi milta nahin jo padh ke suna de mujh ko barg-e-gul par koi paigham likha hai us ne sach hai tanhai mein insan sanak jata hai roz-e-raushan ko siyah-fam likha hai us ne mehr-o-mah dip hua abr samundar khushbu kis ki taqdir mein aaram likha hai us ne sar uchhalte hain zaban katti hai jis mein 'anjum' mere zimme wahi ek kaam likha hai us ne