zard pedon pe sham hai giryan ji udasi ke dasht mein hairan nim-raushan siyahiyan har su aur hawaen sukut par khandan thahre pani ke sard shishe mein guzre mausam ke aks hain larzan sab ke honton pe jam gain baaten sab ki aankhon mein raat nauha-khwan rabt rishton ke rang hain phike khwab qisse kahaniyan be-jaan jo tha raste ki raushni 'fikri' wo bhi nazron se ho gaya pinhan