zard ruKHsaron mein Dhal jaane ka fan

zard rukhsaron mein dhal jaane ka fan
phulon ko aata hai kumhlane ka fan

aadmi ek shahr ki buniyaad hai
jaanta hai panw phailane ka fan

kya hue jo gul khilati thi saba
kya hua wo khushbu phailane ka fan

ghere rahti hain hazar aankhen use
jis ko aata hai nazar aane ka fan

rah ka patthar hun mujh se puchhiye
thokaron par thokaren khane ka fan

jaanta hai koi koi aadmi
aadmi ko kaam mein lane ka fan

shahr mein yusuf ko tanha kar gaya
apne apne chehre chamkane ka fan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close