dosti par yaqin la-mahdud ho chuka ab wo silsila mahdud hum ne jo bhi kaha kaha mahdud sab ko achchha laga ki tha mahdud shairi mukhtasar-nawisi hai warna lawa tha dil mein la-mahdud us ko dariya mein ja ke milna tha ek qatra tha rah gaya mahdud chahe jitna bhi ho wasia magar phir bhi hota hai daera mahdud apna apna nasib hai ai dost warna sab kuchh yahan hai la-mahdud rahnuma jab se main bana apna na raha koi rasta mahdud us ko kuze mein band kar dala ab to dariya bhi ho chuka mahdud dastaras mein 'farid' tha sab ki jaane ab kyon wo ho gaya mahdud