zarra zarra hai ise mehr-e-munawwar na kaho

zarra zarra hai ise mehr-e-munawwar na kaho
qatra har haal mein qatra hai samundar na kaho

but-e-tannaz ko ikhlas ka paikar na kaho
dushman-e-mehr-o-wafa ko fan-e-azar na kaho

kahin phuti hai kabhi un se wafa ki khushbu
lab-e-mashuq ko auraq-e-gul-e-tar na kaho

rang aur nasl ki tafriq mitane ke liye
maslahat hai ise behtar use kamtar na kaho

gham ki jab aanch lagegi to pighal jaega
dil to ek shisha hai is shishe ko patthar na kaho

sath taqdir ke tadbir zaruri hai 'habab'
bigde haalat ko tum apna muqaddar na kaho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close