uske kuche mein bahut rahte hain diwane paDe

us ke kuche mein bahut rahte hain diwane pade
un mein dekha to miyan-'rangin' na pahchane pade

main safar mein hun aur us ko ghair bahkate hain wan
mujh ko ab kaghaz ke ghode yan se daudne pade

saqiya teri nigah-e-naz ke bais se dekh
jam o khum aundhe hain aur talpat hain paimane pade

doston ke kahne sunne se mujhe majbur ho
zakhm-e-dil jarrah ko ai wae dikhlane pade

ab ghazal ek aur 'rangin' tu badal kar likh radif
qafiya phir ye mukarrar tujh ko kah jaane pade


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close