zarra zarra karbala manzar-ba-manzar tishnagi apne hisse mein to aai hai sarasar tishnagi ye bhi dekha hai sarabon se hue sairab log paniyon ke sath bhi bahti hai aksar tishnagi ho gain palkon se hi rukhsat wo maujen khwab ki dera dale hai yahan aankhon ke andar tishnagi tujh mein gar barish samundar ke barabar hai to kya mere andar bhi hai sahra ke barabar tishnagi is mohazzab shahr mein aadab hain kuchh jashn ke raqs karti hai yahan nezon ke upar tishnagi kyun hamari chhat ke upar baadalon ka shor hai kya hamare ghar mein jaegi mukarrar tishnagi