zarraat ke jauhar mein ehsan-e-khuda tum ho ye meri ana kya hai irfan-e-khuda tum ho har qatra-e-shabnam mein har rang-e-gul-e-tar mein ya jaan-e-khuda tum ho ya shan-e-khuda tum ho zahir mein mazahib hain baatin mein tumhi tum ho injil ho gita ho quran-e-khuda tum ho ta-hadd-e-ufuq har-su jalwe hi tumhaare hain wusat mein khalaon ki elan-e-khuda tum ho duniya mein ye jo kuchh hai sab kis ka karishma hai tum raunaq-e-alam ho faizan-e-khuda tum ho taron ke ujalon mein duniya ke nazaron mein takhliq ka maqsad ho arman-e-khuda tum ho tum sham-e-hidayat ho tum nur ka haala ho sar-ta-pa haqiqat ho iman-e-khuda tum ho