aankh lagti bhi nahin hai ki jaga deta hai

aankh lagti bhi nahin hai ki jaga deta hai
koi darwaze ki zanjir hila deta hai

ghar se niklo to pata jeb mein rakh kar niklo
hadisa chehre ki pahchan mita deta hai

hum jo badhte hain kabhi amn ka parcham le kar
raston mein koi barud bichha deta hai

tum sadaqat ki ghani chhanw mein pi kar dekho
zahr sachchai ka amrit ka maza deta hai

maut ke lab pe fusun-kar hansi aati hai
jab kisi ko koi jine ki dua deta hai

maslahat se nahin khali ye zamana 'alam'
be-gharaz koi kisi ko yahan kya deta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close