zarre hi sahi koh se takra to gae hum dil le ke sar-e-arsa-e-gham aa to gae hum ab nam rahe ya na rahe ishq mein apna rudad-e-wafa dar pe dohra to gae hum kahte the jo ab koi nahin jaan se guzarta lo jaan se guzar kar unhen jhutla to gae hum jaan apni ganwa kar kabhi ghar apna jala kar dil un ka har ek taur se bahla to gae hum kuchh aur hi aalam tha pas-e-chehra-e-yaran rahta jo yunhi raaz use pa to gae hum ab soch rahe hain ki ye mumkin hi nahin hai phir un se na milne ki qasam kha to gae hum utthen ki na utthen ye raza un ki hai 'jalib' logon ko sar-e-dar nazar aa to gae hum