dil jo zer-e-ghubar aksar tha kuchh mizaj in dinon mukaddar tha is pe takiya kiya to tha lekin raat-din hum the aur bistar tha sarsari tum jahan se guzre warna har ja jahan-e-digar tha dil ki kuchh qadar karte rahiyo tum ye hamara bhi naz-parwar tha baad yak umr jo hua malum dil us aaina-ru ka patthar tha bare sajda ada kiya tah-e-tegh kab se ye bojh mere sar par tha kyun na abr-e-siyah safed hawa jab talak ahd-e-dida-e-tar tha ab kharaba hua jahanabaad warna har ek qadam pe yan ghar tha be-zari ka na kar gila ghafil rah tasalli ki yun muqaddar tha itne munim jahan mein guzre waqt rehlat ke kis kane zar tha sahib-e-jah-o-shakat-o-iqbaal ek azan jumla ab sikandar tha thi ye sab kaenat zer-e-nagin sath mor-o-malakh sa lashkar tha lal-o-yaqut hum zar-o-gauhar chahiye jis qadar mayassar tha aakhir-e-kar jab jahan se gaya hath khali kafan se bahar tha aib tul-e-kalam mat kariyo kya karun main sukhan se khugar tha khush raha jab talak raha jita 'mir' malum hai qalandar tha