zarur panw mein apne hina wo mal ke chale na pahunche aaj bhi ghar tak mere wo kal ke chale ye dosti hai ki hai sath aag pani ka jo nikli aah to sath ashk bhi nikal ke chale lahad se lai qayamat hai panw pad pad kar thahar thahar ke chale hum machal machal ke chale hazaron thokaren har ek qadam par us mein hain ye rah-e-ishq hai kyun kar koi sambhal ke chale ye mujh ko wasl ki shab hae maut kyun aai hina laga ke jo aae the hath mal ke chale tumhaari rah mein chalne ki hai khushi aisi ki sath naqsh-e-qadam bhi uchhal uchhal ke chale maza to aae jo len rind badh ke hathon-hath maza to aae kahin se jo mai ubal ke chale ada se naz se chalna qayamat un ka tha jo mal ke dil ko kaleje masal masal ke chale chale wo shama jalane mazar par kis ke ki sath sath adu aag ho ke jal ke chale tumhaare gesu-e-pur-pech ne liya hum ko ki munh mein sanp ke ya munh mein hum ajal ke chale utha janaza to boli ye khana-bardari naya makan hai kapde nae badal ke chale hazaron dagh hain dil mein jigar mein lakhon zakhm 'riyaz' mahfil-e-khuban se phul-phal ke chale