zarurat kuchh ziyaada ho na jae samundar aur gahra ho na jae ye dhun ye mauj le dube na mujh ko bagula gharq-e-sahra ho na jae hawaen sar-barahna phir rahi hain qaba-e-gul tamasha ho na jae abhi kuchh tir tarkash mein bhi honge purana zakhm achchha ho na jae qayamat ki ghadi hai aaj suraj sawa neze se uncha ho na jae wahi imkan jis se dar rahe hain wahi imkan paida ho na jae meri har baat sachchi ho rahi hai 'najib' ek hashr barpa ho na jae