zaruraton ki hamahami mein jo rah chalte bhi tokti hai wo shairi hai main jis se aankhen chura raha hun jo meri ninden chura rahi hai wo shairi hai jo aag sine mein pal rahi hai machal rahi hai bayan bhi ho to ayan na hogi magar in aankhon ke aablon mein jo jal rahi hai pighal rahi hai wo shairi hai tha ek talatum mai-e-takhayyul ke jam-o-khum mein to jal-tarangon pe chhid gai dhun jo parda-dar-e-nashat-e-gham hai jo zakhma-kar-e-nawa-gari hai wo shairi hai yahan to har din hai ek sunami hai ek jaisi har ek kahani to kya sunoge magar wo ek khasta-haal kashti jo misl-e-lasha padi hui hai wo shairi hai hai baadalon ke siyah ghodon ke sath warna hawa ki parchhain kis ne dekhi dhuli dhuli dhup ke badan par jo chhanw jaisi subuk-rawi hai wo shairi hai wahi to kal surmai chatanon ke darmiyan se guzar rahi thi biphar rahi thi wahi nadi ab thaki thaki si jo ret ban kar bikhar gai hai wo shairi hai ghadi ki tik-tik dilon ki dhak dhak se baat karti agar tanaffus mukhil na hota to aisi shiddat ki gu-magu mein jo ham-kalami ki khamushi hai wo shairi hai jo qahqahon aur qumqumon se saji-dhaji hai usi gali se guzar ke dekho andhere zinon pe sar-ba-zanu jo bekasi khun thukti hai wo shairi hai na hijraton ke hain dagh baqi na apni gum-gashtagi ka koi suragh baqi so ab jo tari hai sogwari jo apni fitrat se matami hai wo shairi hai hai lala-zar-e-ufuq se aage abhi jo dhundla sa ek sitara hai istiara jo hogi tira-shabi mein raushan wo koi zohra na mushtari hai wo shairi hai ghuzashtagani hai zindagani na ye hawa hai na hai ye pani faqat rawani jo waqiati hai wo hai qissa jo waqai hai wo shairi jo husn-e-manzar hai canwas par wo rangrezi nahin barash ki to aur kya hai ab is se aage koi nazar jis jahan-e-mani ko dhundhti hai wo shairi hai ye sher-goi wo khud-faramosh kaifiyat hai jahan khudi ka guzar nahin hai khudi ki baz-awari se pahle jo be-khudi ki khud-agahi hai wo shairi hai jo wardati sadaqaton ki alamaten hain hadis-e-dil ki riwayaten hain usi amanat ko jo hamesha sambhaalti hai sanwarti hai wo shairi hai ana ke dam se hai naz-e-hasti ana ke jalwon ka aaina-dar hai har ek fan wo khud-numai jo khushnuma hai magar jo thodi si nargisi hai wo shairi hai jo baat nasri hai nazriyati hai jadliyati hai wo mukammal kabhi na hogi magar jo mujmal hai aur mauzun hai aur hatmi aur aakhiri hai wo shairi hai tijaraton ki siyasaten ab adab ki khidmat-guzariyon mein lagi hui hain jo ji raha hai jo ga raha hai mushaera hai jo mar rahi hai wo shairi hai jo dida-rezi bhi jaan-gudazi ke sath hogi to lafz sare guhar banenge 'khalish' yaqinan ye sirf zor-e-qalam nahin hai jo shairi hai wo shairi hai