gham uthane ka hausla bhi nahin aur is ke bina maza bhi nahin sath tera azab hai mujh ko chahiye koi dusra bhi nahin tum bhala kyon udas rahne lage tum ko to yar ishq tha bhi nahin ishq ki rah se guzarna pada aur tha koi rasta bhi nahin un ko dar-asl dur jaana tha masala itna tha bada bhi nahin khud samajh lo mere liye kya the aaj se tum ko bad-dua bhi nahin