zaruri kaamon ki fihrist jab banata hun siwa tumhaare main har baat bhul jata hun main apne sabr ko is tarah aazmata hun jhulaste sahra mein shadabiyan ugata hun mere dimagh pe hawi hai mera pagal-pan purani aankhon pe chehra naya lagata hun jise zamana samajhta hai main ne likkhe hain wo tere git hain jin ko main gungunata hun tamam khwab saja kar khud apni aankhon mein main apni nind se aksar fareb khata hun na jaane kitni hi baaten jo tum se karni thin tumhaare samne aate hi bhul jata hun kahin tabah na kar den ye mustaqil khushiyan udasiyo main tumhein is liye bulata hun