zat ka gahra andhera hai bikhar ja mujh mein dubti sham ke suraj tu utar ja mujh mein ibn-e-adam hun main shahzada-e-tamir-e-hayat tu jo bigda ho to ai waqt sanwar ja mujh mein phir se ek shakl nai tujh ko ata kar dunga ai meri zist kisi roz tu mar ja mujh mein aae aur bit gae kitne hi sawan lekin koi jazba koi baadal nahin garja mujh mein sakht-jaani pe meri karti hai duniya hairat zindagi apna koi zahr hi bhar ja mujh mein teri pairahan-e-alfaz se tazin karun ai mere karb zara der thahar ja mujh mein ruh ka dasht hun sahra-e-takhayyul hun main har taraf ek udasi hai guzar ja mujh mein ye sada-e-pas-e-anfas ka parda kab tak tu kahin hai to tadap aur ubhar ja mujh mein rang hun git hun naghma hun main khushbu hun 'shakil' zist hi zist hai bikhri hui har ja mujh mein