zat ke karb ko lafzon mein dabae rakkha mez par teri kitabon ko sajae rakkha tu ne ek sham jo aane ka kiya tha wada main ne din-raat charaghon ko jalae rakkha kis saliqe se khayalon ko zaban de de kar mujh ko us shakhs ne baaton mein lagae rakha main wo sita ki jo lachhman ke hisaron mein rahi hum wo jogi ki alakh phir bhi jagae rakkha shayad aa jae kisi roz wo sajda karne isi ummid pe aanchal ko bichhae rakkha chudiyan rakh na sakin meri namazon ka bharam phir bhi hathon ko duaon mein uthae rakkha jaane kyun aa gai phir yaad usi mausam ki jis ne 'shabnam' ko hawaon se bachae rakkha