tamam abr pahadon pe sar patakte rahe gharib dahkan ke aansu magar tapakte rahe tamam mausam-e-barish isi tarah guzra chhaten tapakti rahin aur makin sisakte rahe nihaarne ke liye jab na mil saka manzar hum apni sokhta-samaniyon ko takte rahe makan ashkon ke sailab mein thahar na sake makin palkon ki shakhen pakad latakte rahe wo hum pe barf ka tufan ban ke tut pada hum apne aap mein shoala bane bhabhakte rahe amir logon ki basti mein koi dar na khula gharib log har ek dar pe sar patakte rahe 'nawaz' luqme pe luqma diya hai hum ne magar mohabbaton ki tilawat mein wo atakte rahe