zat mein karb ho aur karb ka izhaar na ho sochta hun kahin mera yahi kirdar na ho mere aangan mein khili dhup ka asrar hai kya uth ke dekhun to sahi wo pas-e-diwar na ho ji mein aati hai ki ab aise safar par niklen unt ham-rah na ho jeb mein dinar na ho kashtiyan kis liye sahil se bandhi rahti hain ho na ho nile samundar mein koi ghaar na ho