zau-fishan sine mein soz-e-gham-e-pinhan nikla

zau-fishan sine mein soz-e-gham-e-pinhan nikla
dil ka har dagh charagh-e-tah-e-daman nikla

koi bhi jab na anis-e-shab-e-hijran nikla
dard-e-dil khud hi mere haal ka pursan nikla

justuju mein teri ai jalwa-numa-e-hasti
koi kafir to koi ban ke musalman nikla

maghfirat ko hai mere nama-e-amal pe naz
jab na mujh sa koi aasuda-e-isyan nikla

puchhta kya hai haqiqat mere jazb-e-dil ki
dil ke har qatre mein simta hua tufan nikla

kitna wabasta asiri se tha daur-e-hasti
mar ke zindan se asir-e-dar-e-zindan nikla

main ne jis sang pe sajda kiya jazb-e-dil se
wo bhi minjumla-e-sang-e-dar-e-jaanan nikla

is tarah khatm hui jabr-o-qadar ki hujjat
meri taqdir se sahil pe bhi tufan nikla

bakhiya-gar ne meri jab jama-dari ko dekha
chaak-daman ki jagah chaak-gareban nikla

gham nahin sahil-e-dariya ki tunuk-zarfi ka
dubne wala to aasuda-e-tufan nikla

sakhti-e-hashr-o-qayamat mujhe waiz taslim
aur jo wan bhi na jawab-e-gham-e-jaanan nikla

rifat-e-charkh ho ya ho wo zamin ki wusat
hamil-e-bar-e-amanat faqat insan nikla

ho chuka jama-e-wahshi ka rafu ai 'afqar'
abhi daman na siya tha ki gireban nikla


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close