chaman mein aamad-e-rangini-e-numu kahiye

chaman mein aamad-e-rangini-e-numu kahiye
bahaar aane ko tajdid-e-rang-o-bu kahiye

main gum hua to mila hai suragh manzil ka
is aagahi ke safar ko hi justuju kahiye

nae safar pe gae hum pahunch ke manzil par
masafaton ke tasalsul ko aarzu kahiye

nazar nazar hi mein apna mukalima karke
yun bolti si khamoshi ko guftugu kahiye

talash khud ko kiya jab wahi nazar aaya
meri talab ko usi dar ki aarzu kahiye

mila hai khun-e-jigar apni ashk-rezi se
ki aansuon ko tapakta hua lahu kahiye

zara sanbhal ke hi kijega shaeri 'adil'
ghazal ki sinf ko urdu ki aabru kahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close