zauq-e-nazar baDhaiye gulzar dekh kar

zauq-e-nazar badhaiye gulzar dekh kar
ulfat ka sauda kijiye bazar dekh kar

main ne junun-e-ishq se daman bacha liya
har bul-hawas ko tera parastar dekh kar

mere hi dar pe tha koi sail ke rup mein
hairat-zada raha mujhe nadar dekh kar

naghma-sara na ho saka gulshan mein andalib
tufan-o-barq-o-baad ke aasar dekh kar

betab dil ko aur tarasti nigah ko
bahla saka na main gul-o-gulzar dekh kar

dil guftugu ki samt jhuka sher ban gae
izhaar-e-gham ko ruh ka gham-khwar dekh kar

hosh-o-hawas ki jang mein hairat-zada raha
jazbon ka shor aql ke afkar dekh kar

aankhon se kaenat ke aansu tapak pade
shafi ko is jahan mein bimar dekh kar

yaad aa gain khirad ko wo jannat ki laghzishen
dil ka junun-o-shauq sharar-bar dekh kar

hathon mein dil ke parcham-e-afkar de diya
insaniyat ko barsar-e-paikar dekh kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close