ziyan hi hai ziyan humse na puchho

ziyan hi hai ziyan hum se na puchho
ye ghairon ki zaban hum se na puchho

suna sakte nahin haal-e-alam mein
hamari dastan hum se na puchho

hum apni zat tak mahdud hain dost
khayal-e-ashiqan hum se na puchho

rahe hain zindagi bhar sadgi se
khurafat-e-jahan hum se na puchho

karo mahsus khud hi baat sachchi
yaqin hai ab kahan hum se na puchho

hai kitna talkh kadwa nafrat-amez
ab andaz-e-bayan hum se na puchho

sajaya hai gulon se bagh sara
kamal-e-baghban hum se na puchho

jidhar dekho inad-o-bughz ki dhaar
hai mulla ki azan hum se na puchho

karo idrak har ek guftugu ka
hain kya gustakhiyan hum se na puchho

bura manenge kah di gar haqiqat
suluk-e-dostan hum se na puchho

raqibon ki raqabat kya bataen
wo denge galiyan hum se na puchho

rahe hain hum bhatakte khud hi 'sahgal'
so manzil ka nishan hum se na puchho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close