zauq-e-parwaz mein sabit hua sayyaron se aasman zer-e-zamin hai meri yalghaaron se kaise qatil hain jinhen pas-e-wafa hai na jafa qatl karte hain to aghyar ki talwaron se rah ke sahil pe ho kis tarah kisi ko malum kashtiyan kaise nikal aati hain manjdhaaron se gul hue jate hain jalte hue derina charagh aaina-khanon ki girti hui diwaron se hum mohabbat ko bas itna hi samajhte hain 'farid' ju-e-shir aai hai bahti hui kohsaron se