gham-e-hayat mein koi kami nahin aai nazar-fareb thi teri jamal-arai wo dastan jo teri dilkashi ne chhedi thi hazar bar meri sadgi ne dohrai fasane aam sahi meri chashm-e-hairan ke tamasha bante rahe hain yahan tamashai teri wafa teri majburiyan baja lekin ye sozish-e-gham-e-hijran ye sard tanhai kisi ke husn-e-tamanna ka pas hai warna mujhe khayal-e-jahan hai na khauf-e-ruswai main sochta hun zamane ka haal kya hoga agar ye uljhi hui zulf tu ne suljhai kahin ye apni mohabbat ki intiha to nahin bahut dinon se teri yaad bhi nahin aai