zauq-e-sajda ek naqsh-e-kaamran banta gaya aastan par un ke mera aastan banta gaya be-nishani ke sahaare par nishan banta gaya zamin-e-manzil ghubar-e-karwan banta gaya qudratan barbaadiyon ki dastan banta gaya khud-bakhud bijli ki zad mein aashiyan banta gaya kya khata sayyaad ki aur baghban ka kya qusur gulsitan mein khud tu nang-e-gulistan banta gaya wa-e-mahrumi-e-ulfat un ka gham bhi to nadim bad-nasibi se nasib-e-dushmanan banta gaya mujh se kya kahte ho ab duniya jo kahti hai kahe tum karam karte gae main dastan banta gaya hamil-e-tamir thi takhrib-e-paiham ai 'shifa' aashiyan mit mit ke naqsh-e-ashiyan bata gaya