zauq-e-sujud le gaya mujh ko kahan kahan lekin mere nasib mein wo aastan kahan bakhsha hai tere naqsh-e-qadam ne jo khak-e-ku wo husn-e-dil-nawaz sar-e-kahkashan kahan main sochta hun aariz-o-gesu ko dekh kar thahrega subh-o-sham ka ye karwan kahan khud se bhi ho saki na mulaqat umr-bhar apni talash le gai mujh ko kahan kahan ijad kar rahe hain wo jaur-o-sitam nae jaur-o-sitam se dabta hai azm-e-jawan kahan meri nigah-e-shauq gadagar bani hui jalwon ki bhik mang rahi hai kahan kahan hai baz yun to ab bhi dar-e-mai-kada 'nadim' pahli si wo nawazish-e-pir-e-mughan kahan