tumhaare ghar pe main aa to nahin raha mere dost ghuma phira ke batao na rasta mere dost hawa ho garm ki thandi pasina sukhta hai wo mera dost hai achchha hai ya bura mere dost bichhadte waqt zarurat nahin hoi mahsus aur ab na rabta number na rabta mere dost main yun to ek mohabbat ke qaelin mein tha tujhe mila to raha hi nahin gaya mere dost hamari aankh mein quwwat hai rang chakhne ki hamari aankh batati hai zaiqa mere dost purane git mein shamil kiye hain saz nae sukhan mein itna to hissa raha mera mere dost