zawal-e-fikr-o-fan tha aur main tha ajab qaht-e-sukhan tha aur main tha purane lafz tafsiren nai thin ghazal ka bankpan tha aur main tha ajab rudad thi mere safar ki libas-e-be-shikan tha aur main tha saza thi imtihan tha kya pata ek sulagta agni ban tha aur main tha wahi us ki shikayat thi purani wahi mera chalan tha aur main tha wahi mitti wahi pani hawa thi wahi mera watan tha aur main tha wo ek lamha ki mere sar pe 'asif' bahut dushwar-kun tha aur main tha