zaya hua tamam hunar nind aa gai shab ko saja raha tha magar nind aa gai main chahta to ye hun kahani tawil ho phir ye bhi sochta hun agar nind aa gai karwat badal li donon ne ek khamushi ke baad main ro pada aur us ko udhar nind aa gai daftar mein tai kiya tha ki tare ginenge aaj lekin hamein pahunchte hi ghar nind aa gai kuchh doston ne aane se inkar kar diya kuchh doston ko bich safar nind aa gai ek raat umr bhar ki thakan ka sabab ai dost hum soch hi rahe the magar nind aa gai