phulon ki khwahish mein aksar kanton ko apnate hain aadat se majbur hain apna daman khud uljhate hain ek nazar un ki khatir bhi ek nazar un ki jaanib mausam-e-gul mein jo diwane matami naghme gate hain sip ke bahar pani kya muflis ka maila aanchal kya sone par tapke aansu bhi taj-mahal ban jate hain pichhle sawan mein pal-pal jalte rahne ka hukm mila ab ke tere des ke baadal kya sandesa late hain dard ke sahraon ke aage pyar ke mithe chashme hain khwabon ke saudagar jaane kya kya khwab dikhate hain log ye kaise hain jo hum se din mein aankh churaate hain sham dhale to le kar saghar pine pilane aate hain