zeb-e-gulshan na bane raunaq-e-virana bane kitne hoshyar the jo ishq mein diwana bane jurat-e-did agar meri tamasha na bane dar-haqiqat mera afsana phir afsana bane kuchh patangon hi pe mauquf nahin jaan-e-wafa jo bhi aa jae teri bazm mein parwana bane kitne dilchasp hain us shokh-nazar ke andaz koi diwana na banta ho to diwana bane dil khulus-e-gham-e-ulfat se hai khali warna ishq afsana bana kar bhi na afsana bane dil ki duniya ki ulat pher ilahi tauba jitna aabaad kiya jae ye virana bane kash ek rabt rahe un ki nazar se 'bismil' kabhi aaina bane dil kabhi paimana bane