zehn ho tang to phir shokhi-e-afkar na rakh band tah-khanon mein ye daulat-e-bedar na rakh zakhm khana hi jo thahra to badan tera hai khauf ka nam magar lazzat-e-azar na rakh ek hi chiz ko rahna hai salamat pyare ab jo sar shanon pe rakkha hai to diwar na rakh khwahishen tod na dalen tere sine ka qafas itne shah-zor parindon ko giraftar na rakh ab main chup hun to mujhe apni dalilon se na kat meri tuti hui talwar pe talwar na rakh aaj se dil bhi tere haal mein hota hai sharik le ye hasrat bhi meri chashm-e-gunahgar na rakh waqt phir jaane kahan us se mila de tujh ko is qadar tark-e-mulaqat ka pindar na rakh