zehn jab tere tasawwur mein rawan hota hai tu bhi bole to samaat pe giran hota hai raaz-e-pinhan to bahar-haal ayan hota hai lab jahan hilte nahin ashk rawan hota hai apne hone ka jise wahm-o-guman hota hai khud se milne ka use waqt kahan hota hai lakh koshish pe bhi nikla na samane wala dil bhi kambakht koi andha kuan hota hai ek jumbish bhi jahan wajh-e-halakat thahri koi diwana wahin raqs-kunan hota hai ishq ke sath na gham ho to use kya kahiye aag ke sath bahar-haal dhuan hota hai azm par 'umr-e-guzashta ki koi qaid nahin jism budha hi sahi azm jawan hota hai tujh ko sochun to meri fikr ghazal hoti hai aur jo dekhun to ehsas jawan hota hai har amal ka to sila hai isi duniya mein 'fahim' aadmi ko magar ehsas kahan hota hai