har lamha-e-maujud ke imkan se pahle

har lamha-e-maujud ke imkan se pahle
ek main hi yaqini tha tere gyan se pahle

hoti hai jo ab raat to ho meri bala se
main dub gaya raat ke elan se pahle

bas chhu ke palat aata hun us bagh-e-badan ko
padta hai zara ruh ke zindan se pahle

tarik sarabon ki chaka-chaund mein gum-sum
tha sakht musalman main iman se pahle

aati hai sada kun ki to kahta hun ki zamzam
kuchh mashwara kar hazrat-e-insan se pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close