zehn ki qaid se aazad kiya jae use jis ko pana nahin kya yaad kiya jae use tang hai ruh ki khatir jo ye virana-e-jism tum kaho to adam-abaad kiya jae use zindagi ne jo kahin ka nahin rakkha mujh ko ab mujhe zid hai ki barbaad kiya jae use ye mera sina-e-khali chhalak utthega abhi mere andar agar ijad kiya jae use wo gali puchhti hai dar-ba-dari ke ahwal han to phir waqif-e-rudad kiya jae use