zehn mein ho koi manzil to nazar mein le jaun

zehn mein ho koi manzil to nazar mein le jaun
rah-rau ke na agar gard safar mein le jaun

dil se bach jaen agar dagh-e-jigar mein le jaun
kyun charaghon ko sar-e-sham sahar mein le jaun

koi aahat na koi aks na manzar na hawa
kis ko mahsus karun kis ko khabar mein le jaun

baam-o-dar par nazar aate hain thakan ke aasar
apna ye bojh kisi dusre ghar mein le jaun

aur kuchh khun ho khush-rang to dil mein rokun
aur kuchh khak ho pamal to sar mein le jaun

jalte manzar se juda hona padega kuchh ko
tishnagi tujh ko agar dida-e-tar mein le jaun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close