zehn mein khwabon ke kuchh paikar saja kar rakh diye hum ne apne ghar ki diwaron pe chhappar rakh diye shish-mahlon ke muhafiz ne guzishta raat ko shahr ki galiyon mein aawazon ke patthar rakh diye hath chhu lun to mahak jae wo phulon ki tarah kis ne us ke dil mein khushbu ke sanobar rakh diye mere sheron se bahut barham hain fankaran-e-shahr main ne zarre aasmanon ke barabar rakh diye main daba jata hun apne shahr ke kirdar mein apne apne bojh sab ne mere upar rakh diye