bhul mat ki gunjegi ek din sada-e-hu kaghazi ye duniya hai aarzi hain rang-o-bu kya bataen hum tum ko madari zaban kya hai harf-harf mein rangat lafz-lafz mein khushbu rahrawan-e-rah-e-haq baith jaen kone mein sazishi dimaghon ki dhum-dham hai har-su asr-e-nau ke paikar mein khud ko dhaalna hoga waqt ke taqazon ko thik se samajh le tu rab hi ab muhafiz hai teri kaj-kulahi ka rah mein hazaron hain ek do nahin bad-khu bas zara si himmat hi tishnagi bujha degi rok mat qadam apne samne hai aab-e-ju jab talak 'shafaq' tere hain zamin pe shaidai pesh-goi hai meri mar nahin sakega tu