zehn-o-dil mein pichhli shab ki dastan to saf ho jhilmilaenge sitare aasman to saf ho ghair ko to chhod us ka jo bhi ho radd-e-amal baat lekin tere mere darmiyan to saf ho rah-rawi jari rahe be-shak ho manzil ke khilaf karwan par hukm mir-e-karwan to saf ho dil samajh lega ishaara aap kar ke dekhiye shart hai lekin nigahon ki zaban to saf ho kis tarah aae nazar 'bebak' ab zakhm-e-jigar rauzan-e-dil wa ho chashm-e-khun-chakan to saf ho