chalo farar-e-khudi ka koi sila to mila hamin mile nahin us ko hamein khuda to mila nashat-e-qarya-e-jaan se juda hui khushbu safar kuchh aisa hai ab ke koi mila to mila hamare baad riwayat chali mohabbat ki nizam-e-alam-e-hasti ko falsafa to mila jo chhod aae the taskin-e-dil ke waste hum tumhein ai jaan-e-tamanna wo naqsh-e-pa to mila sawal aa gae aankhon se chhin ke honton par hamein jawab na dene ka faeda to mila ye aah-o-girya-o-zari kahin to kaam aai hawa-e-dasht ko pani ka zaiqa to mila namaz-e-asr nahin padh saki meri wahshat junun-e-ishq ko maidan-e-karbala to mila phir is ke baad baramad na ho saka kuchh bhi hamare aankh mein jalta hua diya to mila