zehn-o-khayal se koi chehra na ja saka aur us ke aage hum se bhi socha na ja saka ek jaan thi jo nazr guzari na ja saki ek qarz tha jo hum se utara na ja saka hum ne hazar jashn sahar ke mana liye aur baam-o-dar se raat ka saya na ja saka kitne tabah honge hum ek shakhs ke liye khud se kabhi sawal ye puchha na ja saka kuchh pal ko ho gaya tha main bhadka hua charagh kuchh der aandhiyon se bhi sambhla na ja saka bas ek larazta hath mere hont si gaya aur phir tamam zindagi bola na ja saka hum us ko sari umr uthae phira kiye jo bar 'mir' se bhi uthaya na ja saka 'tariq' ye dil bhi hai khat-e-taqdir ki tarah hum khud badal gae ise badla na ja saka