zehn par bojh raha, dil bhi pareshan hua in bade logon se mil kar bada nuqsan hua mat ab ke bhi charaghon ko hui hai lekin chaak is bar hawa ka bhi gareban hua odhe phirta hun shahadat ki lahu-rang qaba rang tera tha so wo hi meri pahchan hua aadatan aankh chhalak utthi hai hanste hanste tu mere dost bila-wajh pareshan hua tez pani ki si aawaz gale se nikli aur sun kar ise khanjar bada hairan hua shakh-e-dil par na khila ab ke baras ek bhi phul kaisa aabaad tha ye bagh jo viran hua dost kya ab to munafiq bhi koi sath nahin sukhe phulon se bhi mahrum ye gul-dan hua aaj is darja mohazzab jo nazar aata hai ye wo insan hai sadiyon mein jo insan hua dil se jata nahin 'tariq' kisi kafir ka khayal hum musalman hue dil na musalman hua