zehn pamal guzargahon pe chalna dushwar

zehn pamal guzargahon pe chalna dushwar
aur is bhid se bach kar bhi nikalna dushwar

sochte rahne se haalat badalna dushwar
aur khwabon ke jaziron se nikalna dushwar

kya bayan kijiye andoh-e-gharib-ul-watani
surat-e-haal ka alfaz mein dhalna dushwar

sar mein shoridgi aisi ki thaharna mushkil
panw mein aable itne hain ki chalna dushwar

chand shamon se ujala nahin hone wala
aisi aandhi hai ki suraj ka bhi jalna dushwar

jab use yaad kiya khil uthe gul-ha-e-nashat
hum samajhte the balaon ka hai talna dushwar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close