kaisa dil aur is ke kya gham ji

kaisa dil aur is ke kya gham ji
yunhi baaten banate hain hum ji

kya bhala aastin aur daman
kab se palken bhi ab nahin nam ji

us se ab koi baat kya karna
khud se bhi baat kije kam-kam ji

dil jo dil kya tha ek mahfil tha
ab hai darham ji aur barham ji

baat be-taur ho gai shayad
zakhm bhi ab nahin hai marham ji

haar duniya se man le shayad
dil hamare mein ab nahin dam ji

hai ye hasrat ke zabh ho jaun
hai shikan us shikam ki zalim ji

kaise aakhir na rang khelen hum
dil lahu ho raha hai jaanam ji

hai kharaba husainiya apna
roz majlis hai aur matam ji

waqt dam bhar ka khel hai is mein
besh-az-besh hai kam-az-kam ji

hai azal se abad talak ka hisab
aur bas ek pal hai paiham ji

be-shikan ho gai hain wo zulfen
us gali mein nahin rahe kham ji

dasht-e-dil ka ghazal hi na raha
ab bhala kis se kijiye ram ji


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close