zer hone na diya himmat-e-ali ne mujhe sar-kashida hi rakha sarw-khayali ne mujhe itne chehre to na the arzang-e-mani ko nasib jitne chehre diye aaina-khayali ne mujhe main ne mansub kiya khun-e-jigar se warna sher bakhshe tere rukhsar ki lali ne mujhe dil ne razzaq-e-do-alam ko pukara kya kya rah mein roka jo kisi dast-e-sawali ne mujhe ye qalam-ru-e-sukhan hai to chalo yun hi sahi mulk tafwiz kiya jo mere wali ne mujhe