agar mizaj hi mein gard gard hona tha to phir janab ko sahra-naward hona tha use pasand bahut nile wale patthar hain mujhe aqiq nahin laj-ward hona tha tumhein ye shahar basane ki kya zarurat thi tumhein to apne qabile ka fard hona tha ye ek soch musalsal jala rahi thi mujhe mere khayal ke mausam ko sard hona tha 'sahar' nahin tha koi aur dusra rasta hawas ki aag se jismon ko zard hona tha