zikr-e-bahaar bhi raha zikr-e-khizan ke sath teri bhi dastan hai meri dastan ke sath un ka bhi kuchh khayal rahe ahl-e-karwan jo aa rahe hain gard-e-rah-e-karwan ke sath us waqt rang laega afsana-e-wafa dil ka lahu jab aaega ashk-e-rawan ke sath har chiz ajnabi si hai har shakhs ghair hai duniya badal gai nigah-e-mehrban ke sath 'shaarib' ye jaanta hun ki duniya hai bewafa chalna padega phir bhi isi karwan ke sath