nigah mujh se milane ki un mein tab nahin mere sawal ka shayad koi jawab nahin bahut dinon se koi dil mein iztirab nahin samaya aankhon mein ab aur koi khwab nahin meri ana to abhi sar-buland hai mujh mein mujhe shikast bhi de kar wo kaamyab nahin khuda ka shukr hai sharm-o-haya salamat hai wo aaina hai magar main bhi be-hijab nahin bahaar aane ko aai saman nahin badla khile hai khar har ek shakh par gulab nahin yahan dimagh nahin dil ki hoti hai talim huzur-e-ishq ke maktab ka kuchh nisab nahin hijab mein hai har ek raaz meri hasti ka zamana shauq se padh le ye wo kitab nahin koi batae ki sambhlen to kis tarah sambhlen mili hain thokaren itni ki kuchh hisab nahin han mere fan se munawwar hai ek jahan lekin main ek zarra-e-khaki hun aaftab nahin 'siya' sukun se baqi hai jo guzar jae ab aur ranj sahun itni mujh mein tab nahin